Dec 28, 2010

Wo shaq.s

In nigaho.n se us shaqs ko dekha karte hai,
Jaa.n nisaar hum jispar kiya karte hai..!
Bepanaah mohabbat hai unse itna kahne se darte hai,
Meri taqdeer me wo ho, Us rab se itni iltaza.a karte hai..!!

Ek aawaj

Aaj bhi hamare kaatil kayi hai,
Aaj bhi kyun hame jeene ka haq nahi hai,
Kab waaqif hogi ye duniya is sach se,
Duniya ko aage le jaane ka jariya sirf hum hi hai...

Dec 21, 2010

Aye Khuda....

Aye khuda mein bas itna chahu.n,
Ki kismat ki lakerien meri ho!

Jo manzil mein paana chahu.n,
Unki raahein meri ho!!

Kadam jis dagar badhau.n,
Waha sath tera ho!!!

Jab kabhi mein dagmagau.n,
Hatho mein hath tera ho!!!!

Dec 8, 2010

Khuda Na Kare....

Khuda na kare ki wo din kabhi aaye,
Pyar me duniya mitaane wale khud mit jaaye,
Waise bhi koyi sachcha pyar nahi karta,
Jo karte hai kam se kam wo to mil jaaye.....

Oct 6, 2010

kyun pyar khel bana hai

Kahne wale kah gaye hai, likhne wale likh gaye hai,
Koi na jaan paya hai, kyun ishq bura kahlaya hai,
Koi bataye kya ye sach hai, issse koi na bach paya hai,
Sabke liye ye khel bana hai, pyar kyun koi samajh na paya hai..........

Sep 28, 2010

Pyar be-waqt hota hai

Pyar be-waqt hota hai,
Koi nahi janta ye kab hota hai,
Is mod par kayi raah-geer milte hai,
Pyar to bas ek hi se hota hai.....

Sep 18, 2010

Khwaaish

Ek khwaaish thi dil mein, jo dil mein rah gayi..
Dil mein thi jo baat, lab par aa na saki..
Mein tumse door huyi itna, ki fir mil na saki..
Aisi khoyi andhero.n mein, fir ujaalo.n mein aa na saki..

Jul 13, 2010

Ek Tinka

Aakho'n me gaya ek tinka bhi badi takleef deta hai,
Kaise kahu ki tu meri aakho'n me kitna chubhta hai,
Kabhi tere sath mar mitne ki kasmein khaate the,
Par kyu'n aaj tere sang jeene mein bhi dar lagta hai......

Jul 10, 2010

Dard ya Pyar

Khushi har kisi ke naseeb mein hoti nahi hai,
Pyar har kisi ke naseeb me hota nahi hai,
Ye dard kya ye zakh'm bhi mera nahi hai,
Us pyar ka kya karu'n jo mera nahi hai.....

Mar 24, 2010

Kuch Ahsaas


Husn ek chalawa hai logo ko chal.ne ka kaam karta hai,
hatho me rakhkar jaam bhari mehfil ko badnaam karta hai....
******************
kaash kisi ki yaado.n ko dil me basaya na hota,
To aaj wo rutha hua dilbar hame fir yaad aaya na hota....
******************
Tamasha hum bhi ye sare baazar karte nahi hai,
kon kahta hai ki hum gairo.n par aitbaar karte nahi hai....
******************
Haaye kaise nikalti us dilbar ke liye,
jisne yaadein di mujhe umrabhar ke liye....
******************
Tod kar dil kahte ho hamse tum wafa nibhao,
kon si di hai saza hamne tum saza dikhao....
******************
Hum bewafa se wafa ki ummeed karte rahe,
Uski yaado.n ko seene se laga til-til marte rahe....
 ******************
Hazaro janm aapke khushiyo se bharmaar ho,
Jispar jaan nisar kar sake aapka bhi koi aisa dildaar ho....

Feb 5, 2010

Kon Marna Chahega

Tufaan jab aana hai tab.hi aayega,
Is tufaan ko kon rok paayega,
marna to sabko hai ek din yaha par,
aasuon ki barish me dubkar kon marna chahega..

Jan 18, 2010

Aitbaar hua hota.....


Eh kaash na usse mere dard se yu pyar hua hota,
To aaj na mera dil uske liye itna bekaraar hua hota,

Karne ko Jindagi me ab tak bahut kuch hasil kar lete,
Kabhi jo hamari nazro ko unki nazro ka deedar hua hota,

Ik baar hi sahi wo jate hue mudkar dekhte to kabhi,
Kam se kam mere bechain dil ko Ik pal ka qarar hua hota,

Mujh par kya beetegi !kash wo ye baat jaan paate,
Gairo.n ki baaho me dekhkar mein hairaan na Isqadar hua hota,

Hum bhi unko apni jindgi me shamil kar lete,
Dil se jo unhe Humpar kabhi aitbaar hua hota..aitbaar hua hota.....

Jan 10, 2010

Aashiyana nahi banta

Pyar me kabhi koi aashiyana nahi banta hai,
Yaar to milte hai yaha! par pyar nahi milta hai!

Pyar aaj bhi duniya me koadi ki bhao bikta hai,
Wo pyar pyar hi kya jo sundartaa par tikta hai!!

Jan 8, 2010

Dard or Dil

Dard or dil ka ik rishta purana hai,
Sab kahte hai ishq karne wala hasta hai,

Jo dil khilone ki tarah tuta karta hai,
Us dil ka hasi se nahi bas dard se rishta judta hai,

Dil me dard humne lakho chupaye hai,
Tu kya jaane inhe kaise chupa paaye hai,

Dil tumne toda hai sath jabse choda hai,
Meri saason ne mere dil se har.Ik rishta toda hai!!