Dec 17, 2009

Nata tod gaya.......

Jindagi mein pyar ka matlab sikha gaya,
Hamari kya khata jo neende udaa gaya,

Najane kaise kyu ye rog laga gaya,
Apni ik tasveer mere dil me basa gaya,

Par kyu wo hamase khafa ho gaya,
Jindagi se meri bewafa ho gaya,

Sapno ka mahal tufaano me dah gaya,
Jab wo pyar ke manjar pe laake dur gaya,

Yaad bhi bahut aayi uski, dil bhi bahut roya,
Jab dar dar ki dhokre khane ko Is duniya me akela chod gaya….

Dar lagta hai...

Jane kyu tere pas aane se dar lagta hai,
Tujhe khone ke ahsaas se dar lagta hai,

Meri saaso ka teri saaso se jo rishta hai,
Bas un saason ke tut jane se dar lagta hai,

Hame tere chune ke andaaz se dar lagta hai,
Tere pas aakar dur jane se dar lagta hai,

In aankho me tera hi sapna basta hai,
Ab to dil bhi diye ki tarah jala karta hai,

Koi is diye ko kaise bhuja sakta hai,
Jo khud jalkar is jahan ko roshan karta hai..........

Tanhaai / Judaai

Dil dekar hamne to bas tanhaii hi payi hai..
Ab usse kya shikwa karna jiski fidrat hi bewafaii hai

Khud Khuda ne hi ye khudai banayi hai...
Pyar karne walo ke naseeb me judai banayi hai...

Dec 1, 2009

Ahsaas

Jindagi me ahsaas ki kami hai,
Teri or tere pyar ki kami hai,
Meri aankho me chaai ye kaisi nami hai,
Mere pairo taale bachi bas Gili zameen hai....

Adhure Sapne

Sapne sabhi dekhte hai hamne bhi dekhe
Sabke pure hue to kyun hamare hi tute