Feb 5, 2010

Kon Marna Chahega

Tufaan jab aana hai tab.hi aayega,
Is tufaan ko kon rok paayega,
marna to sabko hai ek din yaha par,
aasuon ki barish me dubkar kon marna chahega..

Jan 18, 2010

Aitbaar hua hota.....


Eh kaash na usse mere dard se yu pyar hua hota,
To aaj na mera dil uske liye itna bekaraar hua hota,

Karne ko Jindagi me ab tak bahut kuch hasil kar lete,
Kabhi jo hamari nazro ko unki nazro ka deedar hua hota,

Ik baar hi sahi wo jate hue mudkar dekhte to kabhi,
Kam se kam mere bechain dil ko Ik pal ka qarar hua hota,

Mujh par kya beetegi !kash wo ye baat jaan paate,
Gairo.n ki baaho me dekhkar mein hairaan na Isqadar hua hota,

Hum bhi unko apni jindgi me shamil kar lete,
Dil se jo unhe Humpar kabhi aitbaar hua hota..aitbaar hua hota.....

Jan 10, 2010

Aashiyana nahi banta

Pyar me kabhi koi aashiyana nahi banta hai,
Yaar to milte hai yaha! par pyar nahi milta hai!

Pyar aaj bhi duniya me koadi ki bhao bikta hai,
Wo pyar pyar hi kya jo sundartaa par tikta hai!!

Jan 8, 2010

Dard or Dil

Dard or dil ka ik rishta purana hai,
Sab kahte hai ishq karne wala hasta hai,

Jo dil khilone ki tarah tuta karta hai,
Us dil ka hasi se nahi bas dard se rishta judta hai,

Dil me dard humne lakho chupaye hai,
Tu kya jaane inhe kaise chupa paaye hai,

Dil tumne toda hai sath jabse choda hai,
Meri saason ne mere dil se har.Ik rishta toda hai!!

Dec 17, 2009

Nata tod gaya.......

Jindagi mein pyar ka matlab sikha gaya,
Hamari kya khata jo neende udaa gaya,

Najane kaise kyu ye rog laga gaya,
Apni ik tasveer mere dil me basa gaya,

Par kyu wo hamase khafa ho gaya,
Jindagi se meri bewafa ho gaya,

Sapno ka mahal tufaano me dah gaya,
Jab wo pyar ke manjar pe laake dur gaya,

Yaad bhi bahut aayi uski, dil bhi bahut roya,
Jab dar dar ki dhokre khane ko Is duniya me akela chod gaya….