Jan 18, 2010

Aitbaar hua hota.....


Eh kaash na usse mere dard se yu pyar hua hota,
To aaj na mera dil uske liye itna bekaraar hua hota,

Karne ko Jindagi me ab tak bahut kuch hasil kar lete,
Kabhi jo hamari nazro ko unki nazro ka deedar hua hota,

Ik baar hi sahi wo jate hue mudkar dekhte to kabhi,
Kam se kam mere bechain dil ko Ik pal ka qarar hua hota,

Mujh par kya beetegi !kash wo ye baat jaan paate,
Gairo.n ki baaho me dekhkar mein hairaan na Isqadar hua hota,

Hum bhi unko apni jindgi me shamil kar lete,
Dil se jo unhe Humpar kabhi aitbaar hua hota..aitbaar hua hota.....

No comments: