Sep 18, 2010

Khwaaish

Ek khwaaish thi dil mein, jo dil mein rah gayi..
Dil mein thi jo baat, lab par aa na saki..
Mein tumse door huyi itna, ki fir mil na saki..
Aisi khoyi andhero.n mein, fir ujaalo.n mein aa na saki..

Jul 13, 2010

Ek Tinka

Aakho'n me gaya ek tinka bhi badi takleef deta hai,
Kaise kahu ki tu meri aakho'n me kitna chubhta hai,
Kabhi tere sath mar mitne ki kasmein khaate the,
Par kyu'n aaj tere sang jeene mein bhi dar lagta hai......

Jul 10, 2010

Dard ya Pyar

Khushi har kisi ke naseeb mein hoti nahi hai,
Pyar har kisi ke naseeb me hota nahi hai,
Ye dard kya ye zakh'm bhi mera nahi hai,
Us pyar ka kya karu'n jo mera nahi hai.....

Mar 24, 2010

Kuch Ahsaas


Husn ek chalawa hai logo ko chal.ne ka kaam karta hai,
hatho me rakhkar jaam bhari mehfil ko badnaam karta hai....
******************
kaash kisi ki yaado.n ko dil me basaya na hota,
To aaj wo rutha hua dilbar hame fir yaad aaya na hota....
******************
Tamasha hum bhi ye sare baazar karte nahi hai,
kon kahta hai ki hum gairo.n par aitbaar karte nahi hai....
******************
Haaye kaise nikalti us dilbar ke liye,
jisne yaadein di mujhe umrabhar ke liye....
******************
Tod kar dil kahte ho hamse tum wafa nibhao,
kon si di hai saza hamne tum saza dikhao....
******************
Hum bewafa se wafa ki ummeed karte rahe,
Uski yaado.n ko seene se laga til-til marte rahe....
 ******************
Hazaro janm aapke khushiyo se bharmaar ho,
Jispar jaan nisar kar sake aapka bhi koi aisa dildaar ho....

Feb 5, 2010

Kon Marna Chahega

Tufaan jab aana hai tab.hi aayega,
Is tufaan ko kon rok paayega,
marna to sabko hai ek din yaha par,
aasuon ki barish me dubkar kon marna chahega..